Friday, 16 November 2012

"dur ho phir bhi kareeb ho ; yeh kaisi Shiddat hai , yeah kaisi juztaju hai ; na kar Gila tu mujhse , ehsaas tera mujhko bhi hai "
" Aaj andhere raas aa rahe hain, khud hi se baatein farma rahein hain , kuch jaani kuch anjaani si main lagi , Ulfat ke aasar nazar aa rahe hain "

'' tere ankahe lafzon ka sabab hun main, teri jhooti hansi ka Sach hun main , Teri aankhon ki nami ka dard hun main  , tere dil ki dhadkano ki shararat hun main ; Na pooch mujhse mera tarruf , ki tera pata hun main "  

Saturday, 10 November 2012

"Aaj aankhen nam hain , par ashk khushk hain , socha zara ro ke dil halka kar lun , par sab zabt hai , aisa bhi nazara hoga socha na tha "

"Jab jab usne pukara humne tham liya ; jab hue hum ghumgeen , toh khud ko tanha paya ; fanaa ho gayee justaju zindagi ki ,  shiddat jo thi woh kahan kho gayee"

" Badi mushkil se kiya tha fir se aitbaar , socha yeh hai jaanisar ; par jab chali halki si hawa , woh bezaar ho gaya ; main hum se bada ho gaya , tohmaton ke bazaar mein hum khakh ho gaye "

Friday, 9 November 2012

"Jab hum khud mein mubtila the toh woh saath the , hua jab aitbaar unpe toh Faasle hue ; Khamosh thi nigahein , khamosh thi dhadkane , intezaar bas ek dastak ka tha , jis pe aitbaar ab bhi tha " 

Saturday, 3 November 2012

"Dastur-e-zindagi , itni de khabar ; kya khata hui mujhse , jo tu hai bekhabar; tha woh itefaaq ya hai yeh itefaaq , jab nazdikiyaan hui faasle badh gaye"


teri aankhon ki nami , teri woh jhooti haansi
tera nazre chupana , par mudde pe na aana
yaad rakhungi main jab tak hai jaan , jab tak hai jaan


 

Thursday, 1 November 2012

khud se dillagi

Gufatagu -e- zindagi, kya tujhe meri khabar hai ; ya tubhi apno ki tarah bekhabar hai 
taqaluf na kar , hun main tujh mein ; bas tujhe hi yeh khabar hai 
dhoondti tu mujhe khud se pare na jaane kahan ; ashq gar ho aankhon mein , toh dil bhi dur hai ; gufatagu -e -zindagi , kya tujhe meri khabar hai !

Na kuch kaha Na kuch suna , haq aisa jataya ki  hum sharmzar hue ; Na uthi nigahen na lafz bayan hue , sirf dhadkane tham gayeen aur hum benakab hue .