Saturday, 10 November 2012

"Aaj aankhen nam hain , par ashk khushk hain , socha zara ro ke dil halka kar lun , par sab zabt hai , aisa bhi nazara hoga socha na tha "

"Jab jab usne pukara humne tham liya ; jab hue hum ghumgeen , toh khud ko tanha paya ; fanaa ho gayee justaju zindagi ki ,  shiddat jo thi woh kahan kho gayee"

" Badi mushkil se kiya tha fir se aitbaar , socha yeh hai jaanisar ; par jab chali halki si hawa , woh bezaar ho gaya ; main hum se bada ho gaya , tohmaton ke bazaar mein hum khakh ho gaye "

No comments:

Post a Comment