Wednesday, 23 December 2015
Tuesday, 15 December 2015
Thursday, 8 October 2015
Aayeena
Kabhie fursat ke lamhon mein , khud hi se baatein hoti hain ; muskra letein hain, jab nigahein chaar hoti hain ❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️
Monday, 25 May 2015
Bekhayali
Kahar barpana aadat hai humari; takaluf-e-zindagi humari nahi
Nazar bezaar honth bekarar;
Kahe toh kiss se kahein , ab bezubaan hui kahani
Ghadi ruki hai par waqt chal raha hai,
Kadam thame hain par zameen phisal rahi hai ;
Chalein toh kaise chalein, jab saanse ruki ho aur zindagi chal rahi ho
Thursday, 14 May 2015
Kuch haqueeqat humari Kuch fasana unka
Woh qatal karte hain musukura ke ; hum zakhm lete hain muskura ke ; woh samjhte hain hum anjaan hain; bekhabar hain ki woh nadaan hain
Monday, 23 February 2015
Giraftaar
Lamhon mein giraftaar waqt, aur Waqt ki giraft mein hum; sach yahi Hai Zindagi ka aur Zindagi mein hum
Tuesday, 17 February 2015
Zindagi toh
Rishte nibhate nibhate Zindagi guzar jayegi
Khud se jab mulaqat hogi toh kabr nazare aayegi
Banate bikharte rishte hain yahan pe;
Dosti bhi yahan wajah dhoondhati hai
Jab aayeene ko saaf kiya toh safed nazar aaya
Socha naye rang bharun kyunki poorana syah jo paya
Kuch Nahi Bas Zindagi ko kuch aur kareeb se dekha:
Subscribe to:
Posts (Atom)