Socha na tha woh khwab itna haseen hoga
Socha tha jo be khayali mein , woh tammeel hoga
Jism aur ruh ki baatein itni bebaki se hongi
Ki na waqt ka pata hoga na jagah ka hosh hoga
Tasavur mein ab sab gulab hai
Saath nahi par khumari hai
Choo gayee iss kadar uski nazakat mujhe
Ki mujhe hosh mein aana abhi baaki hai
No comments:
Post a Comment