Thodi si sarsarahat , Thodi si thirkan ; Thodi si main , Thodi si main nahi. Kuch toh hai mausam ka takaza , kuch hai dilagi meri .;bebas , besabab , beintehaan mohabbat hai meri.
Khoyee hun apna hi duniya mein , na kar tu fikr meri ,
Yeh woh lamha hai jahan main hun aur nahi bhi hun .........
Zindagi ki mayusiyan ab mujhe darati nahi , bekal , Kal kal main behti hun ;
Shukriya e zindagi , aasman mein meri tasveer banane ke liye .
No comments:
Post a Comment