Monday, 10 April 2017

Rakh

Dhuaan dhuaan ho rahi hai Zindagi 

Katra katra hue ja rahe hain hum

Phir bhi 

Gaflate Zindagi mein hain mubtila hum 

Na Jane kab ruhon ka saath ho 

Tab tak muskura rahein hain hum 

Tuesday, 15 November 2016

Khayal

Gaya waqt aata nahi, ehsaas bhi Rehta nahi 

Aaj jis ki shiddat hai, kal shayad woh khayal bhi nahi 

Mausam ka badalna suna tha ; khud hi se mukarna socha nahi 

Wednesday, 12 October 2016

Shokhi

Ab na intezaar hai na koi shikayat; 
Woh raaste Mei the aur humne raasta badal diya

Monday, 27 June 2016

Kuchhhh

"Kuch bekhayali meri kuch junoon tera; kuch sawal mere, kuch faqat muskurana tera "
"Aaj bhi dhoondte hain Kadam tere uss pagdandi par 
Jahan se guzara tha kabhie khushiyon ki talaash mein 
Kya khabar thi ki tu bekhabar hai un khushiyon se jo TERE saath theen 
Simatta gar apne mein tu , toh yeh jahan tera tha aur aasman bhi " 

Tuesday, 9 February 2016

Waqt

Kuch shikwe kuch shikayat hai tujhse aye zindagi : tu mazaak hai ya main mazaak iss zindagi mein 
Imtehaan pe imtehaan tu Leti rahi 
Aur hum bin kuch kahe jhelte rahe 
Par ab Tere wajood pe sawal hai utha 
Tu hai bhi ya hai sirf ek falsafa