Tuesday, 28 June 2016
Monday, 27 June 2016
Kuchhhh
"Kuch bekhayali meri kuch junoon tera; kuch sawal mere, kuch faqat muskurana tera "
"Aaj bhi dhoondte hain Kadam tere uss pagdandi par
Jahan se guzara tha kabhie khushiyon ki talaash mein
Kya khabar thi ki tu bekhabar hai un khushiyon se jo TERE saath theen
Simatta gar apne mein tu , toh yeh jahan tera tha aur aasman bhi "
Tuesday, 9 February 2016
Waqt
Kuch shikwe kuch shikayat hai tujhse aye zindagi : tu mazaak hai ya main mazaak iss zindagi mein
Imtehaan pe imtehaan tu Leti rahi
Aur hum bin kuch kahe jhelte rahe
Par ab Tere wajood pe sawal hai utha
Tu hai bhi ya hai sirf ek falsafa
Monday, 18 January 2016
Fasala
Usse khabar hai toh mujhe bhi khabar hai
Usne padha hai toh Maine bhi padha hai
Kadam gar uske badhe toh mere bhi Thame nahi the
Yeh waqt ki baat hai , tu hawa mein udha aur mai faqat zameen par Chala
Bas waqt waqt ki baat hai jo kissika bhi nahi hai
Gar woh tera khuda hai toh woh mera bhi nigehbaan hai
Friday, 15 January 2016
Kahan
Kabhie khud hi se sawal aur khud hi se shikayat; zindagi ki tanhaiyon mein khud hi se takrar, gar yahi hai zindagi ka falsafa toh achcha hai .......
Wednesday, 23 December 2015
Tuesday, 15 December 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)