Lamhon mein giraftaar waqt, aur Waqt ki giraft mein hum; sach yahi Hai Zindagi ka aur Zindagi mein hum
Monday, 23 February 2015
Tuesday, 17 February 2015
Zindagi toh
Rishte nibhate nibhate Zindagi guzar jayegi
Khud se jab mulaqat hogi toh kabr nazare aayegi
Banate bikharte rishte hain yahan pe;
Dosti bhi yahan wajah dhoondhati hai
Jab aayeene ko saaf kiya toh safed nazar aaya
Socha naye rang bharun kyunki poorana syah jo paya
Kuch Nahi Bas Zindagi ko kuch aur kareeb se dekha:
Tuesday, 25 November 2014
Khud garzi
Khud se hi hai mohabbat, hai khud se hi shikayat ; auron se Kya guftagu karein : jab khud se hi hai ibaadat
Sunday, 23 November 2014
Friday, 31 October 2014
Bas
Sawalon ke dayare mein ulajhti main
Jawabon ki talaash mein bhatakti main
kyA wajood hai mera Kaun hun main
Aayeene mein khud ko dhoodhti main
Sunday, 19 October 2014
Intezaar ab bhi
Zindagi tere shagun mein kifayat ab bhi hai;
Pyaar ke bazaar mein milawat ab bhi hai ,
Sukun ke Intezar mein aansun ka sailab ab bhi hai ;
AE Muqadaar tujhse shikayat ab bhi hai
Monday, 29 September 2014
Ilzaam
Woh Qatal bhi karein , toh qatil Nahi ;
Aur hum muskura bhi de bas Zara ; toh Kafir kehlayein
Dil dukhane ke raaste bahut the , khud ko juda karne ke fasane bahut the
Gar kaha hota humse , toh khud hi Chale jaate
Iss tarah gairon mein rusva na hote
Kya socha tha gairon ko apna banane se Pehle,
Ke Qatil kabhie dost nahi hote
Hath se dost, aankhon se khanjar
Bas yahi manzar hai aajkal jaan- pehchaan ka
Subscribe to:
Posts (Atom)