Khud se hi hai mohabbat, hai khud se hi shikayat ; auron se Kya guftagu karein : jab khud se hi hai ibaadat
Tuesday, 25 November 2014
Sunday, 23 November 2014
Friday, 31 October 2014
Bas
Sawalon ke dayare mein ulajhti main
Jawabon ki talaash mein bhatakti main
kyA wajood hai mera Kaun hun main
Aayeene mein khud ko dhoodhti main
Sunday, 19 October 2014
Intezaar ab bhi
Zindagi tere shagun mein kifayat ab bhi hai;
Pyaar ke bazaar mein milawat ab bhi hai ,
Sukun ke Intezar mein aansun ka sailab ab bhi hai ;
AE Muqadaar tujhse shikayat ab bhi hai
Monday, 29 September 2014
Ilzaam
Woh Qatal bhi karein , toh qatil Nahi ;
Aur hum muskura bhi de bas Zara ; toh Kafir kehlayein
Dil dukhane ke raaste bahut the , khud ko juda karne ke fasane bahut the
Gar kaha hota humse , toh khud hi Chale jaate
Iss tarah gairon mein rusva na hote
Kya socha tha gairon ko apna banane se Pehle,
Ke Qatil kabhie dost nahi hote
Hath se dost, aankhon se khanjar
Bas yahi manzar hai aajkal jaan- pehchaan ka
Wednesday, 30 July 2014
Gumzada
Kabhie hum khud se Ishq farmate the ,
Ab Ishq ke naam se ghabratein hain ;
Kabhie jahan mein khud ko paate the ,
Ab jahan mein khud ko dhoondte hain
Dil mein kasak ab bhi hai
Hothon pe talab ab bhi hai
Yeh zindagi ki ulfat hi kuch Aisi hai
Ki Gaflat ki wajah ab bhi hai
Lamho ki saazish mein , waqt ke Saath
Kitne sawalon ke baad , jazbaaton ke haath ; kitni girhain kholi humne , har saans ke baad
Aaj jab simte khud mein , tere Ehsaas ke Saath
Taqdeer ne phir karwat li , khamoshi ke Saath
Na kuch kaha na kuch suna
Sannata jo hua , waqt ki awaaz ke Saath
Sunday, 27 July 2014
Chah
Tujhe chah kar bhi chah na sakun
Tujhe paa kar bhi paa na sakun
Tu hai mere paas par tu hai Kidhar ;
Mushkil mein hain armaan par mohabbat hai Kidhar
Dard se dard ki shikayat na rahi
Ishq se Ishq ki shikwa na rahi
Dono ki chahat ne ruswa Hume kiya
Ki ab jeene ki wajah na rahi
Mere aaj se tu meri kismat na parakh
Mere aaj se tu meri keemat na laga
Mere aaj se tu mera kal na dekh
Subscribe to:
Posts (Atom)