Kuch nahi tha par sab kuch tha
Dil achanak halka ho gaya ,
Khushi labon se aankhon tak pahunch gayee
Bund kali khil gayee
Kya gazab hai yeh , na pyaar , na kuch khaas sirf ehsaas
Dhuaan dhuaan ho rahi hai Zindagi
Katra katra hue ja rahe hain hum
Phir bhi
Gaflate Zindagi mein hain mubtila hum
Na Jane kab ruhon ka saath ho
Tab tak muskura rahein hain hum
Gaya waqt aata nahi, ehsaas bhi Rehta nahi
Aaj jis ki shiddat hai, kal shayad woh khayal bhi nahi
Mausam ka badalna suna tha ; khud hi se mukarna socha nahi