Thursday, 14 May 2015

Kuch haqueeqat humari Kuch fasana unka

Woh qatal karte hain musukura ke ; hum zakhm lete hain muskura ke  ; woh samjhte hain hum anjaan hain; bekhabar hain  ki woh nadaan hain

Monday, 23 February 2015

Giraftaar

Lamhon mein giraftaar waqt, aur Waqt ki giraft mein hum; sach yahi Hai Zindagi ka aur Zindagi mein hum 

Tuesday, 17 February 2015

Zindagi toh

Rishte nibhate nibhate Zindagi guzar jayegi
Khud se jab mulaqat hogi toh kabr nazare aayegi

Banate bikharte  rishte hain yahan pe;
Dosti bhi yahan wajah dhoondhati hai  

Jab aayeene ko saaf kiya toh safed nazar aaya 
Socha naye rang bharun kyunki poorana syah jo paya 

Kuch Nahi Bas Zindagi ko kuch aur kareeb se dekha:

Tuesday, 25 November 2014

Khud garzi

Khud se hi hai mohabbat, hai khud se hi shikayat ; auron se Kya guftagu karein : jab khud se hi hai ibaadat 


Sunday, 23 November 2014

Tassavur

Aaiyeene se zyada khoobsoorat parchayee lagi ; qaid kar Liya khud ko hi nigahon mein









Friday, 31 October 2014

Bas


Sawalon ke dayare mein ulajhti main
Jawabon ki talaash mein bhatakti main 
kyA wajood hai mera Kaun hun main 
Aayeene mein khud ko dhoodhti main 

Sunday, 19 October 2014

Intezaar ab bhi

Zindagi tere shagun mein kifayat ab bhi hai;
Pyaar ke bazaar mein milawat ab bhi hai ,
Sukun ke Intezar mein aansun ka sailab ab bhi hai ;
AE Muqadaar tujhse shikayat ab bhi hai