Thursday, 13 March 2014

Kab

Kuch tera khoobsoorat saath , kuch mere ghar ki tanhayee ;
Kab shab se subah huye , khabar hi na huye

Socha na tha ki guftagu hogi ; gustakhi ki had tak shararat hogi
Kuch lamho mein zindagi basar hogi , phir wahin se nayee shuruaat hogi

Woh

Lachari kuch iss tarah batayee ki ya keen ho Gaya humari shohrat pe 

Bhulata koi nahi hai ,bas bhoola dete hain ;
Ishq aur nafrat mein dozak aur jannat dikha dete hain 

Saturday, 18 January 2014

Ishq aur Rakeeb

Hum khud se Ishq mein iss kadar mubtila hain , ki auron ki khabar nahi ;
Rakeeb honge hazaar par kuch khabar nahi 

Ek haseen as nasha hai iss mein ; kyunki has rat bhi hum aur mohabbat bhi hum; kyunki kashish bhi hum aur dar -e-dawa bhi hum 

Mushkil hai safar aur Manzil hai duur ; jaana jidhar hai wahan saya hai koi aur 
Dil ki awaaz ya demaag ka hukum ; dard humare gungnata koi aur 

Monday, 6 January 2014

Saanse

Jab Khud se mulaqat hogi , guftagu hogi aur baat hogi ;jab saanse thamengi aur saanse chalegi , phir wahin subah aur wahin Shaam hogi 

Saturday, 4 January 2014

Gustakhi

Kuch Gustakhi Unki , kuch sharm humari ; muskurana bhi chahe toh , nazarein chupa lein 

Saturday, 28 December 2013

Rakeeb

Main apne dushmano ko kareeb rakhti Hun ,
Dil ke kissi kaune main mehfooz rakhti Hun ;
Kya khabar kabhie woh mera dard samajh jaaye , 
Aur usse bhi mujhse mohabbat ho jaaye 

Monday, 18 November 2013

Kash

Kashmash - e- kash mein guzar rahi zindagi ; na tum samjhe na hum 

Intezaar tha mukammal hone ka ; na ghadiyan Khatam huiyeen na hum 

Na jane kab subah hogi ; raat ke aagosh mein sulag rahe hum 

Main thi aur the Tum ; nazdeekiyaan bhi theen phir bhi rusva hue hum