Monday, 11 November 2013

Talab

Dil ki dhadkan ko ek chingari ki talab hai ; hosh khone ke liye ek agan ki zarurat hai;
Dil mein arman ab bhi hain baaki  ; faqat sirf ek Ehsaas -e- jazbaat ki zarurat hai 

Thursday, 24 October 2013

Abhi abhi

Rasuk-e-zindagi mein , waqt ki dariyaft hai ; Jo maano toh hum tumhare Paas hai Na Mano toh Intezaar hai

Mureed ki murad hai , husn - e- ishq ka saath chahiye ; ghalib na hum ho sake par ruab chahiye

Friday, 11 October 2013

Aaj ka tug

Jab Chehre pe Chehra Chadne Lage , tab Ram mein Ravan Dikhne lage ; kalyug ki Ramayan mein ab Raavan jale nahi Bheegne lage 

Sunday, 6 October 2013

Jazbaat

Na uss ke Jaane ka Ghum , na tere aane ki khushi 
Zindagi ab hum khud hi mein talaashte hain 

Nakaab jab utha tera , wajood aaya samne  
Badsurat -e- sirat , sharmaar Anant hue 

Thursday, 26 September 2013

Khumari

" Subah ki khumaari ne sone na diya , dil ki lagi ne sone na diya ; jis khwab ke liye sote the , aaj ussi khwab ne sone na diya "

" Na jaane kya hai is deemag ki ulfat ; jo apne ghum ko chodh doosre ki khushi pe roye "

" chale the hum zindagi ki khabar lene ; aashiqui mein uski kabr apni khod kar aaye "

Sunday, 4 August 2013

Yakeen

Zindagi mein ujala hamesha rahega , tu nahi toh koi aur hoga ;
shama jalane ke liye sirf ek haath zaruri hai
woh Tera haath ho , yeh zaruri toh nahi

AAJ tere khwab ka wajood hun main , toh kal koi aur hoga ; Jo rahun tere khwabon mein humesha , woh mazar kuch aur hoga 

Zindagi ki raftaar mein manzilen bahut hon toh behter hain ..... warna zindagi guzar jaati hai ek manzil ki talaash mein ( Haanssa n Sundeep ) 

Monday, 3 June 2013

Gustakhi

Gar guzare hote hum aapke paas se , toh kahin toh khalish hui hoti ; gar khwabgah mein aapki humse mulaqat hui , toh gustakhi humari kaise hui 

Aapne khwaabon mein humara tassavur kiya,  Neegahon se chuaa aur labon se guftagu ki ; hum bebas bas kasmasate rahe , gustakhi aapne ki aur Saza Hume mili