Monday, 25 May 2015

Bekhayali


Kahar barpana aadat hai humari; takaluf-e-zindagi humari nahi

Thamee zindagi Mein bekhayal hum 
Nazar bezaar honth bekarar;
Kahe toh kiss se kahein , ab bezubaan hui kahani 

Ghadi ruki hai par waqt chal raha hai,
Kadam thame hain par zameen phisal rahi hai ;
Chalein toh kaise chalein, jab saanse ruki ho aur zindagi chal rahi ho 



Thursday, 14 May 2015

Kuch haqueeqat humari Kuch fasana unka

Woh qatal karte hain musukura ke ; hum zakhm lete hain muskura ke  ; woh samjhte hain hum anjaan hain; bekhabar hain  ki woh nadaan hain