Khud se hi hai mohabbat, hai khud se hi shikayat ; auron se Kya guftagu karein : jab khud se hi hai ibaadat
Tuesday, 25 November 2014
Sunday, 23 November 2014
Friday, 31 October 2014
Bas
Sawalon ke dayare mein ulajhti main
Jawabon ki talaash mein bhatakti main
kyA wajood hai mera Kaun hun main
Aayeene mein khud ko dhoodhti main
Sunday, 19 October 2014
Intezaar ab bhi
Zindagi tere shagun mein kifayat ab bhi hai;
Pyaar ke bazaar mein milawat ab bhi hai ,
Sukun ke Intezar mein aansun ka sailab ab bhi hai ;
AE Muqadaar tujhse shikayat ab bhi hai
Monday, 29 September 2014
Ilzaam
Woh Qatal bhi karein , toh qatil Nahi ;
Aur hum muskura bhi de bas Zara ; toh Kafir kehlayein
Dil dukhane ke raaste bahut the , khud ko juda karne ke fasane bahut the
Gar kaha hota humse , toh khud hi Chale jaate
Iss tarah gairon mein rusva na hote
Kya socha tha gairon ko apna banane se Pehle,
Ke Qatil kabhie dost nahi hote
Hath se dost, aankhon se khanjar
Bas yahi manzar hai aajkal jaan- pehchaan ka
Wednesday, 30 July 2014
Gumzada
Kabhie hum khud se Ishq farmate the ,
Ab Ishq ke naam se ghabratein hain ;
Kabhie jahan mein khud ko paate the ,
Ab jahan mein khud ko dhoondte hain
Dil mein kasak ab bhi hai
Hothon pe talab ab bhi hai
Yeh zindagi ki ulfat hi kuch Aisi hai
Ki Gaflat ki wajah ab bhi hai
Lamho ki saazish mein , waqt ke Saath
Kitne sawalon ke baad , jazbaaton ke haath ; kitni girhain kholi humne , har saans ke baad
Aaj jab simte khud mein , tere Ehsaas ke Saath
Taqdeer ne phir karwat li , khamoshi ke Saath
Na kuch kaha na kuch suna
Sannata jo hua , waqt ki awaaz ke Saath
Sunday, 27 July 2014
Chah
Tujhe chah kar bhi chah na sakun
Tujhe paa kar bhi paa na sakun
Tu hai mere paas par tu hai Kidhar ;
Mushkil mein hain armaan par mohabbat hai Kidhar
Dard se dard ki shikayat na rahi
Ishq se Ishq ki shikwa na rahi
Dono ki chahat ne ruswa Hume kiya
Ki ab jeene ki wajah na rahi
Mere aaj se tu meri kismat na parakh
Mere aaj se tu meri keemat na laga
Mere aaj se tu mera kal na dekh
Sunday, 13 July 2014
Kuch Yaadein
Zindagi ke badhte kadam chal pade the apne raste ;
Phir kuch talaashne chale toh kabr khud gayee
Jakhm hare ho Gaye aur Ruh nam ho gayee
Zindagi kab achchi thi yeh sawal khade kar gayee
Sunday, 15 June 2014
Wednesday, 11 June 2014
Tuesday, 10 June 2014
Lab e zindagi
Khwaish thi zindagi mein har lamha jeene ki ; par ba - dastur ab lamhe mein zindagi jeetein hain
Ishq ko pukara har tarah se ; kabhi dost to kabhi khairkhwah banke mile ... humnava ; Manzil meri main jaante Hun , Ishq Hun main , kabhie thaherta nahi
Saturday, 7 June 2014
Ishq
Khud hi se Ishq farmana yaad mei kissi ki ; Sitamzarfi Aisi na ho , ki izhaar bhi khud hi se kar baithein
Thursday, 13 March 2014
Kab
Kuch tera khoobsoorat saath , kuch mere ghar ki tanhayee ;
Kab shab se subah huye , khabar hi na huye
Socha na tha ki guftagu hogi ; gustakhi ki had tak shararat hogi
Kuch lamho mein zindagi basar hogi , phir wahin se nayee shuruaat hogi
Woh
Lachari kuch iss tarah batayee ki ya keen ho Gaya humari shohrat pe
Bhulata koi nahi hai ,bas bhoola dete hain ;
Ishq aur nafrat mein dozak aur jannat dikha dete hain
Saturday, 18 January 2014
Ishq aur Rakeeb
Hum khud se Ishq mein iss kadar mubtila hain , ki auron ki khabar nahi ;
Rakeeb honge hazaar par kuch khabar nahi
Ek haseen as nasha hai iss mein ; kyunki has rat bhi hum aur mohabbat bhi hum; kyunki kashish bhi hum aur dar -e-dawa bhi hum
Mushkil hai safar aur Manzil hai duur ; jaana jidhar hai wahan saya hai koi aur
Dil ki awaaz ya demaag ka hukum ; dard humare gungnata koi aur
Monday, 6 January 2014
Saanse
Jab Khud se mulaqat hogi , guftagu hogi aur baat hogi ;jab saanse thamengi aur saanse chalegi , phir wahin subah aur wahin Shaam hogi
Saturday, 4 January 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)